Tuesday, 31 July 2018

Sirf 1 Hath se Musafa karna Sunnat Hain !


Musaafaha ek haath se karna Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai. Iski wazeh daleel:
حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ بْنُ سُفْيَانَ قَالَ حَدَّثَنَا قَاسِمُ بْنُ أَصْبَغَ قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَضَّاحٍ قَالَ حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ بْنُ كَعْبٍ قَالَ حَدَّثَنَا مُبَشِّرُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ عَنْ حَسَّانَ بْنِ نُوحٍ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُسْرٍ قَالَ تَرَوْنَ يَدِي هَذِهِ صَافَحْتُ بِهَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
Tarjumah: Hazrat Abdullah Ibn e Busr farmaate hain ke mere is haath ko dekhte ho, main ne is se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se musaafaha kiya hai. 
(At-Tamheed: 12/247)
Allama Abdurrehman Mubarakpoori Is Hadees par hukm lagaate huwe kehte hain:
رِجَالُهُ كُلُّهُمْ ثِقَاتٌ وَإِسْنَادُهُ مُتَّصِلٌ
Tarjumah: Is hadees ke saare ruwaat (narrators) siqah hain aur is ki sanad muttasil hai.
(Tohfat ul Ahwazi: 7/430)
Hadees mein ka «ید» lafz hai jo ism e jins hai jo ek aur do haath dono ke liye istemaal hota hai lekin «ید» ke baad «هَذِهِ» ki ziyaadti se wazahat ho jaati hai ke «ید» se yahan ek haath muraad hai. Agar «ید» se do haath muraad hote to «هَذِهِ» waahid ke bajaaye «ھذان» tasniyah ka segha istemaal kiya jaata. 
Via : Umar Asari Source : Here 
Toh is hadith se saaf taur par malum pada ki ek hath se musafa karna sahabao ka aam mamool tha kyuki hadith ke alfaz me “riwaz” alfaz hai jiska matlab koi khas amal jo boht pahle se chali aa rahi ho ya aam mamool hota hai.
Lekin agar koi shaks do hath se musafa kare to ye jaiz hai, ye biddat nahi hai, balki ye mubah hai aur yahi Raae(opinion) Ulama ka bhi hai, Aur Muhaddis Zubair Ali Zai ka bhi Ahi kenha hain.
Par sunnah ki agar baat kare to musafa karna ek hath se sabit hai aur yahi amal sahaba ka tha aur yahi amal behtar hai.
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (24/125) me kaha gaya hai ki hame aesi koi ilm nahi ki do hath se(musafa) nahi karna chaiye. Lekin ek hath se karna behtar hai.
Aur Allah sab se behtar janta hai.
Allah se dua hai ki wo hame sunnah se muhabbat karne ki taufeek ada farmae. Ameen…!!!

1 comment:

  1. Hmm ek haat se hi karna behetar hai lekin jo do haat se karte hai hame unko bura bhala nahi khena chahiye

    ReplyDelete